Other sms
1. Log mohabat ko khuda mante hai,
To fir mohabat karne walo ko q Bura mante hai,
Jab thokar khate hai Pattharo se,
To fir q Pattharo se hi dua mangte hai..
2. Saath rahte rahte yunhi
Waqt guzar jayega,
Door hone ke baad
Kaun kise yaad yaad ayega,
Jee lo ye pal
Jab hum saath hai,
Kal ka kya pata
Waqt kahan le jayega.
3. Ban k ajnabi mile the
Zindagi k safar me kahi,
In Yadon ko kabhi bhulayenge nahi,
Agar yaad rakhna fitrat hai apki,
To bhul jaane ki aadat hume bhi nahi.
4. Har chand mile
Har sitara mile,
Har kadam pe apko
Shahara mile,
Zindagi me kabhi
Akele na rahe aap,
Kuch hum jaise mile
Aur koi humse bhi pyaara mile.
5. Har kisi ke liye hum wish nahi karte,
Ye bat yahi finish nahi karte,
Agar humara msg na aaye to..
Ye mat sochna k apko miss nahi karte.
6. Ek sacha dill sabke paas hota hai,
Fir kyo nahi sab pe vishvas hota hai,
Insaan chahe kitna hi aam ho,
Wo kisi na kisi k liye khass hota hai.
7. Bahar hoti to titaliya jaroor aati,
Koi rota to isakiya jaroor aati,
Kahne ko to sab bahut yaad karte hai hume,
Magar yaad karte to hichakiya jaroor aati.
8. Maa ki dua Khali nahi jaati,
Uski badua taali nahi jati,
Bartan maanz kar bhi maa 3.4 bache pal leti hai magar,
3.4 Beton se 1 maa pali nahi jati.
9. Vo bewafa nahi
Mujhe pata hai,
Uski rah dekhna
Ye meri ada hai,
Vo aye na aye
Ye uski wafa hai,
Bas tadpte rahna
Ye meri saja hai.
10. Ek to aap sharmate bahut ho,
Baat karo to itrate bahut ho,
Dill karta hai koi sms na karu par,
Suna hai aap sms padh kar muskuraate bahut ho...
11. Khud se zara sambhalna seekho,
Apna dukh chipana seekho,
Dard yahan sabko hai,
Par dard mein bhi
Muskurana seekho.
12. Jindagi mein haseen yadon ka ehasas rahne do,
Dill me suroor, jubaan par mithass rahne do,
Yahi fasana hai jindagi jine ka,
Na raho udaas na kisi ko udaas rahne do .....!
13. Tum chand ho sharmaya na karo,
Phool se chahre ko murjhaya na karo,
Jab tak hum jinda hai aapka saath ba kar,
Tab ta kisi bhi baat se ghabraya na karo.
14. Agar apki duniya aasma me hoti,
To aap k dost sitare honge,
Un sitaro me hume mat khojna kyonki,
Aap ki tamanna puri karne wale hum tutate tare honge.
Subscribe to:
Posts (Atom)